tamashai bane rahiye tamasha dekhte rahiye
yahi duniya hai to kab tak ye duniya dekhte rahiye
agar apne bikharne ka nazara kar nahin sakte
to ye kije ki wo raushan sitara dekhte rahiye
ki yun manzar badal jaane se hairani nahin hoti
agar gulshan mein rahna ho to sahra dekhte rahiye
miyan kya aaine ko khelne ki chiz samjhe the
ab apne-ap ko qiston mein baTta dekhte rahiye
idhar tum pyas ki hurmat ka qissa chheD baiThe ho
udhar mausam ye kahta hai ki dariya dekhte rahiye
Ghazal
Tamashai bane rahiye tamasha dekhte rahiye
Iqbal Ashhar