اردو हिंदी
Tamasha-gah-e-alam parda-dar ru-e-zeba hai | Shaahi Shayari
tamasha-gah-e-alam parda-dar ru-e-zeba hai

Ghazal

Tamasha-gah-e-alam parda-dar ru-e-zeba hai

Syed Bashir Husain Bashir

;

tamasha-gah-e-alam parda-dar ru-e-zeba hai
meri nazron mein lekin KHud ye parda husn-e-yakta hai

mata-e-zauq-e-sajda se abhi taskin nahin hoti
KHuda jaane junun-e-roz-afzun ki dawa kya hai

tere qadmon ki nisbat ko jabin-e-KHalq kya samjhe
koi puchhe mere dil se ki sang-e-dar tera kya hai