tamam-umr ki ghaflat ke baad KHwab aaya
uTha jo parda-e-hasti mujhe hijab aaya
ajal-nasib tha sham-e-visal KHwab aaya
wo be-hijab hue to mujhe hijab aaya
bala hai ahd-e-jawani se KHush na ho ai dil
sambhal ki umr ki duniya mein inqalab aaya
baDhae hausle dariya-dili ne saqi ki
zara se jam mein sau bar aaftab aaya
koi sada nahin aati ki kaun hai kya hai
kahan bhaTak ke dil-e-KHanuman-KHarab aaya
ummid-o-bim mein rakkha tamam raat mujhe
kabhi naqab uThai kabhi hijab aaya
zamane walon ko pahchanne diya na kabhi
badal badal ke libas apne inqalab aaya
siwae yas na kuchh gumbad-e-falak se mila
sada bhi di to palaT kar wahi jawab aaya
uDa ke hosh hua ho gai tajalli-e-tur
sabhon se aankh churaata hua hijab aaya
harif-e-mai nahin samjha to kyun meri jaanib
lahu ke ghunT piye saghar-e-sharab aaya
haTe na apni tabiat se husn-o-ishq kabhi
hazar bar zamane mein inqalab aaya
sunain kya tumhein nairang-e-ishq ka qissa
tamam-umr na aankhen khulin na KHwab aaya
khaTak wo dil mein hi paida jo aaj tak na hui
samajh raha hun ki tifli gai shabab aaya
kafan pinha diya 'saqib' sanam-parasti ne
KHuda ke samne jate hue hijab aaya

Ghazal
Tamam-umr ki ghaflat ke baad KHwab aaya
Saqib Lakhnavi