tamam umr ki aawargi pe bhaari hai
wo ek shab jo teri yaad mein guzari hai
suna raha hun baDi sadgi se pyar ke git
magar yahan to ibaadat bhi karobari hai
nigah-e-shauq ne mujh ko ye raaz samjhaya
haya bhi dil ki nazakat pe zarb-e-kari hai
mujhe ye zoam ki main husn ka musawwir hun
unhen ye naz ki taswir to hamari hai
ye kis ne chheD diya ruKHsat-e-bahaar ka git
abhi to raqs-e-nasim-e-bahaar jari hai
KHafa na ho to dikha den hum aaina tum ko
hamein qubul ki sari KHata hamari hai
jahan-panah-e-mohabbat janab 'shabnam' hain
zaban-e-sher mein farman-e-shauq jari hai
Ghazal
Tamam umr ki aawargi pe bhaari hai
Shabnam Rumani