tamam shahr ki aankhon ka mahtab hua
main jab se us ki nigahon mein intiKHab hua
hawa ke kandhon ne pahunchaya aasmanon tak
main barg-e-sabz tha sukha to aaftab hua
palaT ke dekhun to mujh ko sazaen deta hai
ajab sitara rah-e-gham mein ham-rikab hua
yun qaus-e-chashm mein aaya wo barishon ki tarah
ki harf-e-did kai rangon ki kitab hua
pighal ke aa gai sari udasi lafzon mein
wufur-e-gham mere aaine mein habab hua
main apni KHwahishen gum kar ke mil gaya us ko
KHusha wo meri mohabbat mein kaamyab hua
Ghazal
Tamam shahr ki aankhon ka mahtab hua
Arshad Abdul Hamid

