tamam moajaze sari shahadaten le kar
main aab o KHak se guzra adawaten le kar
KHud apne harf ke shoale mein jal ke lauTa hun
main ek safar pe gaya tha hikayaten le kar
kashan-kashan lab-e-sahil utar gai mujh mein
udas raat samundar ki wusaten le kar
had-e-zaman-o-makan se guzar raha hun main
KHud apne hone na hone ki hairaten le kar
abhi to zaKHm sile the ki aasman se koi
meri taraf chala aaya jarahaten le kar
zamin ke logo suno hashr ab na uTThega
guzar gaya koi sari qayamaten le kar
akela shahr mein phirta hun sara din 'sabir'
main apne bichhDe huon ki shabahaten le kar

Ghazal
Tamam moajaze sari shahadaten le kar
Sabir Waseem