tamam KHushk dayaron ko aab deta tha
hamara dil bhi kabhi aasman jaisa tha
ajib lagti hai mehnat-kashon ki bad-hali
yahan talak to muqaddar ko haar jaana tha
nae safar ka har ek moD bhi naya tha magar
har ek moD pe koi sadaen deta tha
baghair puchhe mere sar mein bhar diya mazhab
main rokta bhi to kaise ki main to bachcha tha
koi bhi shakl ubharna muhaal tha yaro
hamare saye ke upar shajar ka saya tha
tamam umr KHud apne pe zulm dhate rahe
mohabbaton ka asar tha ki koi nashsha tha
baDa sukun mila us se baat kar ke hamein
wo shaKHs jaise kisi jhil ka kinara tha
bas ek war mein duniya ne kar diye TukDe
meri tarah se mera ishq bhi nihatta tha
alawa is ke mujhe aur kuchh malal nahin
wo man jaega is baat ka bharosa tha
Ghazal
Tamam KHushk dayaron ko aab deta tha
Navin C. Chaturvedi