tamam KHaliyon mein aksar sunai deta hai
har ek jahan mein mahshar sunai deta hai
jo chhu ke dekhun to gardish ki tah mein gardish hai
dharun jo kan to mahwar sunai deta hai
hazar milon bichhi irtiqa ki miTTi par
badan mein ab bhi samundar sunai deta hai
lachakti raat mein sayyargan ki chap suno
jo mujh mein jazb hai bahar sunai deta hai
zamin phail gai hai hamari ruh talak
jahan ka shor ab andar sunai deta hai
zaban ke ghaar se pahunche sukut tak to ab
ajib lahjon mein manzar sunai deta hai
tamaddunon ke har aahang ka tazad 'riyaz'
jo dur jaun to behtar sunai deta hai
Ghazal
Tamam KHaliyon mein aksar sunai deta hai
Riyaz Latif