talKHiyan is mein bahut kuchh hain maza kuchh bhi nahin
zindagi dard-e-mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
shama KHamosh bhi rahte hue KHamosh kahan
is tarah kah diya sab kuchh ki kaha kuchh bhi nahin
hum gadayan-e-mohabbat ka yahi sab kuchh hai
garche duniya yahi kahti hai wafa kuchh bhi nahin
ye naya tarz-e-karam hai tera ai fasl-e-bahaar
le liya pas mein jo kuchh tha diya kuchh bhi nahin
hum ko malum na tha pahle ye aain-e-jahan
us ko dete hain saza jis ki KHata kuchh bhi nahin
wahi aahen wahi aansu ke do qatre 'ajiz'
kya teri shairi mein in ke siwa kuchh bhi nahin
Ghazal
TalKHiyan isMein bahut kuchh hain maza kuchh bhi nahin
Kaleem Aajiz