talKHi-e-gham ka jo hai mukammal jawab la
yani sharab la mere saqi sharab la
miT jaen jis se gardish-e-dauran ki talKHiyan
wo jam-e-KHush-gawar mila kar gulab la
wo mai ki jis se har gham-o-andoh-o-yas ka
ho jae hashr tak ke liye sadd-e-bab la
pi kis qadar piyunga abhi kis qadar na puchh
de pahle is ka baad ko lena hisab la
kali ghaTa ki tujh ko qasam jaan-e-mai-kada
taKHir kar na bahr-e-KHuda la shitab la
wo dekh sar pe chadar-e-rahmat hai zau-fagan
chhai hai mai-kade pe rida-e-sahab la
raaz-e-hayat-o-maut ka uqda jo khol de
mil jae jis se KHwab mein tabir KHwab la
aisi na ho ki pi ke banun aur muttahim
baatil-shikan ho jo wo haqiqat-e-maab la
saqi gharaz ye tujh se guzarish hai 'barq' ki
aankhon se jo uTha de dui ka hijab la

Ghazal
TalKHi-e-gham ka jo hai mukammal jawab la
Rahmat Ilahi Barq Aazmi