اردو हिंदी
TalKHaba-e-gham KHanda-jabin ho ke piye ja | Shaahi Shayari
talKHaba-e-gham KHanda-jabin ho ke piye ja

Ghazal

TalKHaba-e-gham KHanda-jabin ho ke piye ja

Anwar Sabri

;

talKHaba-e-gham KHanda-jabin ho ke piye ja
mauhum umidon ke sahaaron pe jiye ja

mayus na ho be-ruKHi-e-chashm-e-jahan se
shaista-e-ehsas koi kaam kiye ja

shikwa na kar is daur-e-junun-zad ka koi
taqdir-e-KHirad-soz ko ilzam diye ja

auron ko gareban ki tujhe fikr hi kyun ho
tu apni hi sad-chaaki-e-daman ko siye ja

har lamha taghayyur pe nigahon ko jamae
tu jaiza-e-gardish-e-ayyam liye ja

is jabr-e-mashiyyat ko to sahna hi paDega
be-kaif sahi un ke ishaaron pe jiye ja

saqi ki nazar se koi nisbat hai to 'anwar'
pine ki ada ye bhi hai be-jam piye ja