اردو हिंदी
Talash karti hai tujhko meri nazar har su | Shaahi Shayari
talash karti hai tujhko meri nazar har su

Ghazal

Talash karti hai tujhko meri nazar har su

Irfana Azeez

;

talash karti hai tujh ko meri nazar har su
jamal-e-ruh mere dil ki raushni hai tu

ye kis ki yaad ye kis ka KHayal aaya hai
mahak mahak hai tajalli kiran kiran KHushbu

sulag sulag ke sar-e-shaKH bujh gain kaliyan
mere badan mein tha KHwabida jin ka zauq-e-numu

meri nigah mein jalwe ye kis sahar ke hain
ki dagh dagh nae aaftab ka hai lahu