اردو हिंदी
Talash kar na zamin aasman se bahar | Shaahi Shayari
talash kar na zamin aasman se bahar

Ghazal

Talash kar na zamin aasman se bahar

Nida Fazli

;

talash kar na zamin aasman se bahar
nahin hai rah koi is makan se bahar

bas ek do hi qadam aur the safar wale
thakan dekh na pai thakan se bahar

nisab darja-ba-darja yun hi badalta hai
hua na koi bhi imtihan se bahar

usi ki justuju akasr udas karti hai
wo ek jahan jo hai har jahan se bahar

namaziyon se kaho dekhen chand-suraj ko
nikal rahe hain muazzin azan se bahar