talash jis nur ki hai tujh ko chhupa hai tere badan ke andar
zuhur-e-alam hua usi se wo hai har ek jaan-o-tan ke andar
tujhe ye be-sarfa jadd-o-kad hai kashakashi mein bhi shadd-o-mad hai
nafas ki tujh ko agar madad hai safar hai is ja watan ke andar
tujhe wahan se gurez o ram hai talash ab aahu-e-haram hai
chala hai wo rah jo bharam hai, hai mushk-e-nafa KHutan ke andar
jahan mein sara hai nur tera har ek shai mein zuhur tera
magar taKHayyul hai dur tera paDa hai bait-ul-huzan ke andar
tu hi muhaqqiq tu hi mujaddid bana hai tu aap hi muqallid
tu rasm-o-rah ka hua muqayyad phansa hai KHud ma-o-man ke andar
qadim viran-kada hai hasti samajh ise hai fana ki basti
ye teri himmat ki sab hai pasti zubun hai dahr-e-kuhan ke andar
ajib ahmaq hai aur sada sawar ho kar hua piyaada
kidhar chala ye nahin hai jada tu kyun bhaTakta hai ban ke andar
ye aatish-e-ishq ki hai jiddat ki dil mein paida hui hai riqqat
ye soz-e-gham ki mili hai lazzat maza hai dil ki jalan ke andar
hua hai mast-e-sharab-e-gulgun akaD raha hai wo sarw-e-mauzun
dikha ke hum ko ye jam-e-wazun KHajil kiya anjuman ke andar
hua hai sarshaar wahm-e-'saqi' tujhe nahin shauq-e-wasl baqi
hawa-e-duniya ka hai miraqi paDa hai aawagawan ke andar
Ghazal
Talash jis nur ki hai tujhko chhupa hai tere badan ke andar
Pandit Jawahar Nath Saqi

