اردو हिंदी
Talash dariya ki thi ba-zahir sarab dekha | Shaahi Shayari
talash dariya ki thi ba-zahir sarab dekha

Ghazal

Talash dariya ki thi ba-zahir sarab dekha

Kishwar Naheed

;

talash dariya ki thi ba-zahir sarab dekha
wo kaun aankhen thin jin ki KHatir ye KHwab dekha

jo rut bhi aae hamin se girya ka rizq mange
hamari surat kise zamin intiKHab dekha

nadamaten bahte aansuon se sharh na paen
safina apni dua ka maqtal rikab dekha

barasti aankhon se sukhe talab bhar na paen
ye gham ka dariya misal-e-qarz-e-sahab dekha

kabhi to aankhon mein un ki aabaadiyan khilengi
wo bastiyan umr bhar jinhen zer-e-ab dekha

abhi to baKHiya-gari ko sozan hi kaam aae
hina ki dahliz pe tulu-e-hijab dekha

yaqin ki tishna-labi muqaddar raqam rahegi
wufur-e-dariya bhi misl-e-dariya-e-KHwab dekha

jata gaya sari aadaten bas gale se lag ke
us ek anjum ko chandni ke hisab dekha

KHayal us ke badan ki galiyon ko DhunDta hai
wo jis ko dekha to hairaton ko naqab dekha