اردو हिंदी
TaKHt jis be-KHanaman ka dast-e-virani hua | Shaahi Shayari
taKHt jis be-KHanaman ka dast-e-virani hua

Ghazal

TaKHt jis be-KHanaman ka dast-e-virani hua

Wali Mohammad Wali

;

taKHt jis be-KHanaman ka dast-e-virani hua
sar upar us ke bagula taj-e-sultani hua

kyun na safi us kun hasil ho jo misl-e-arsi
apne jauhar ki haya sun sar-ba-sar pani hua

zindagi hai jis kun daim aalam-e-baqi munin
jalwa-gar kab us ange yu aalam-e-fani hua

bekasi ke haal mein yak aan main tanha nahin
gham tera sine mein mere hamdam-e-jaani hua

ai 'wali' ghairat sun suraj kyun jale nain raat-din
jag munin wo mah rashk-e-mah-e-kanani hua