tajdid-e-ahd kar kisi simin badan ke sath
yani luTa shabab sharab-e-kuhan ke sath
wabasta-e-bahaar ho KHud misl-e-rang-o-bu
yun zindagi guzar kisi gul-e-badan ke sath
han ai mughanniya koi maddham sa rag chheD
yani mila rabab dil-e-pur-mehan ke sath
saqi pila sharab zakat-e-shabab de
han phir koi mazaq dil-e-pur-mehan ke sath
dil chahta hai phir koi bahka hua sa tir
phir khinch le kaman usi bankpan ke sath
zahid ye talKH guftugu ye sun hazar haif
zalim guzar di kisi shirin-dahan ke sath
turfa sitam hain charKH ki ye aazmaishen
wo bhi sharik-e-gham hain dil-e-pur-mehan ke sath
mahrum-e-iltifat nahin chheD hai murad
dil ko bhi lag hai nigah-e-pur-fatan ke sath
'talib' mujhi se puchhna 'talib' tu kaun hai
hans dena phir kisi ka ajab bhole-pan ke sath

Ghazal
Tajdid-e-ahd kar kisi simin badan ke sath
Talib Baghpati