tajalliyon se gham-e-e'tibar le ke uTha
sukun nahin tha to dil ka qarar le ke uTha
guzarne wale musafir se ki umid-e-wafa
har ek rah se koi intizar le ke uTha
kiye junun mein yahan tak sujud-e-majburi
ki aastan se tere iKHtiyar le ke uTha
chaman mein gham ki bahaaren guzar din main ne
wahan se apne nasheman ke KHar le ke uTha
KHizan-nasib hai duniya use KHabar kya hai
bahaar le ke jo baiTha bahaar le ke uTha
chaman se kyun na talluq ho surat-e-shabnam
wo gir paDa jo alaeq ka bar le ke uTha
hayat-KHez hai har rang mein sabaat 'nushur'
jo sang ho ke bhi baiTha sharar le ke uTha
Ghazal
Tajalliyon se gham-e-etibar le ke uTha
Nushur Wahidi

