اردو हिंदी
Tajalli gar teri past o buland un ko na dikhlati | Shaahi Shayari
tajalli gar teri past o buland un ko na dikhlati

Ghazal

Tajalli gar teri past o buland un ko na dikhlati

Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan

;

tajalli gar teri past o buland un ko na dikhlati
falak yun charKH kyun khata zamin kyun farsh ho jati

hina tere kaf-e-pa ko na us shoKHi se sahlati
ye aankhen kyun lahu rotin unhon ki nind kyun jati

agar ye sard-mehri tuj ko aasaish na sikhlati
to kyunkar aaftab-e-husn ki garmi mein nind aati

ilahi dard-e-gham ki sarzamin ka haal kya hota
mohabbat gar hamari chashm-e-tar se meinh na barsati