tai kar chuke ye zindagi-e-jawedan se hum
aage baDhenge aur uThe hain jahan se hum
kis ko sada den kis se kahen sath le chalo
pichhe rahe ghubar-e-rah-e-karwan se hum
dil mein jo dard hai wo nigahon se hai ayan
ye baat aur hai na kahen kuchh zaban se hum
chaunka diya qafas ne hamein gahri nind se
wabasta ho chale the bahut aashiyan se hum
gar aa bhi jae meri jabin tak wo aastan
laenge sajda-rezi ki aadat kahan se hum
faiz-e-junun se fursat-e-fariyaad hi na thi
na-ashna hi rah gae tarz-e-fughan se hum
dekhi hain hum ne un ki pashiman-nigahiyan
kahna ho lakh phir bhi kahen kis zaban se hum
Ghazal
Tai kar chuke ye zindagi-e-jawedan se hum
Ali Jawwad Zaidi