tai hua hai us taraf ki rahguzar ka jagna
mere panw mein kisi lambe safar ka jagna
bolte the kya parinde se dar-o-diwar par
yaad hai ab bhi mujhe wo apne ghar ka jagna
ab kahan mausam hai wo dar-o-rasan ka dosto
ab kahan ushshaq ke shanon pe sar ka jagna
warna mujh ko dhup ka sahra kabhi na chhoDta
aa gaya hai kaam mere ek shajar ka jagna
ek purani aarzu Thahri ujalon ki talab
ek purana KHwab Thahra hai sahar ka jagna
aasman khulte gae mujh par zaminon ki tarah
ek lamhe ke liye tha baal-o-par ka jagna
main 'nabil' is KHauf se ek umr soya hi nahin
zindagi-bhar ka hai sona lamha-bhar ka jagna

Ghazal
Tai hua hai us taraf ki rahguzar ka jagna
Nabeel Ahmad Nabeel