tadbir hamare milne ki jis waqt koi Thahraoge tum
hum aur chhupenge yahan tak ji jo KHub hi phir ghabraoge tum
bezar karoge dil hum se ya minnat-e-dar se rokoge
wo dil to hamare bas mein hai kis taur use samjhaoge tum
gir jadu-mantar sikhoge to sehr hamari nazron ka
is kuche mein biThlawe phir kahiye kyunkar aaoge tum
gar chhup kar dekhne aaoge hum apne baala-KHane ke
sab parde chhoDe rakkhenge phir kyunkar dekhne paoge tum
gar jadu-mantar sikhoge to sahar hamari nazron ka
tasir ko us ki kho dega kuchh pesh nahin le jaoge tum
taswir agar mangwaoge to dekh hamari surat ko
hairan musawwir howega phir rang kaho kya laoge tum
jo waqt 'nazir' in baaton ki hum KHub karenge hushyari
jo harf zaban par laoge tum phir kyunkar dikhlaoge tum
Ghazal
Tadbir hamare milne ki jis waqt koi Thahraoge tum
Nazeer Akbarabadi