tabibo chaaragaro tum se jo hua so hua
hamare dam pe bharosa rakho hua so hua
wo apne haal mein KHush hai hum apne haal pe KHush
ab is ka zikr na yaro karo hua so hua
bahut hua to wahi hoga jis ka Dar hai hamein
jo ho raha hai wo hone do jo hua so hua
abas hai kasrat-e-kar-e-junun bhi aise mein
azizo chaak-e-gareban siyo hua so hua
koi bhi surat-e-ahwal ko na jaanega
jo dil ki baat hai dil mein rakho hua so hua
saba ke bas mein nahin ab payam-e-subh-e-visal
dayar-e-hijr ke zindaniyo hua so hua
kahen hain reKHta punjab mein nazar-sahib
ba-qadr-e-zauq tum un ki suno hua so hua

Ghazal
Tabibo chaaragaro tum se jo hua so hua
Prem Kumar Nazar