tabiat in dinon auham ki un manzilon par hai
dil-e-kam-hausla kaghaz ki gili kashtiyon par hai
guzashta mausamon mein bujh gae hain rang phulon ke
daricha ab bhi mera raushni ke zawiyon par hai
hazaron aabnusi jangalon ka husn kya mani
hamein jab sans lena kimiyai tajrabon par hai
kaDa hai meri ajrak par balochi kaam shishe ka
kisi ke aks ki qaus-e-quzah sab aainon par hai
mere aangan mein ek nannhi gilahri ka basera hai
bahut masum sa ek naqsh meri kyariyon par hai
main us par apne andar ki humaira war aati hun
magar wo be-yaqini mein abhi pahli hadon par hai
Ghazal
Tabiat in dinon auham ki un manzilon par hai
Humaira Rahman