اردو हिंदी
Tabah ho ke bhi ek apni aan baqi hai | Shaahi Shayari
tabah ho ke bhi ek apni aan baqi hai

Ghazal

Tabah ho ke bhi ek apni aan baqi hai

Baqar Mehdi

;

tabah ho ke bhi ek apni aan baqi hai
baghawaton ki taDap gham ki jaan baqi hai

KHala mein Dub ke hum ko bhi ye hua malum
ki kuchh nahin hai magar aasman baqi hai

ye mat kaho ki luTi kaenat-e-dard tamam
ki zaKHm zaKHm ye sara jahan baqi hai

main kaise chhoD dun TuTe hue dar-o-diwar
shikasta KHwab ka tanha makan baqi hai

na KHatm honge masaib ke silsile 'baqar'
hazar KHar hue imtihan baqi hai