taziyat ki khokhli hai rasm jari aaj-kal
is tarah se ho rahi hai gham-gusari aaj-kal
log nange panw hain aur kirchiyan hain farsh par
aur is par maut ka hai raqs jari aaj-kal
shauq hai hum ko tamasha dekhne ka aur yahan
rahnuma bhi mil gae hain kuchh madari aaj-kal
ab nisab-e-ishq mein shamil nahin mehr-o-wafa
ho gae hain ye mazamin iKHtiyari aaj-kal
jit par us ka yaqin puKHta hua ye dekh kar
aa rahi hai nafraton mein paedari aaj-kal
ye kaha tha man se wo man rakhta hai mera
ho rahi hai ja-ba-ja par sharmsari aaj-kal
muddaton ke baad wo paikar hua hai mehrban
hai magar parhez-gari hum pe tari aaj-kal
baKHt kya jage mere duniya shanasa ho gai
sab ki mujh se ho gai hai rishtedari aaj-kal
zindagi kamyab hone ka KHasara ye bhi hai
qatilon mein baDh gai be-roz-gari aaj-kal

Ghazal
Taziyat ki khokhli hai rasm jari aaj-kal
Rehan Alvi