اردو हिंदी
Taza phir danish-e-hazir ne kiya sehr-e-qadim | Shaahi Shayari
taza phir danish-e-hazir ne kiya sehr-e-qadim

Ghazal

Taza phir danish-e-hazir ne kiya sehr-e-qadim

Allama Iqbal

;

taza phir danish-e-hazir ne kiya sehr-e-qadim
guzar is ahd mein mumkin nahin be-chob-e-kalim

aql ayyar hai sau bhes bana leti hai
ishq bechaara na mulla hai na zahid na hakim

aish-e-manzil hai ghariban-e-mohabbat pe haram
sab musafir hain ba-zahir nazar aate hain muqim

hai garan-sair gham-e-rahila-o-zad se tu
koh o dariya se guzar sakte hain manind-e-nasim

mard-e-darwesh ka sarmaya hai aazadi o marg
hai kisi aur ki KHatir ye nisab-e-zar-o-sim