اردو हिंदी
Taza hai uski mahak raat ki rani ki tarah | Shaahi Shayari
taza hai uski mahak raat ki rani ki tarah

Ghazal

Taza hai uski mahak raat ki rani ki tarah

Zeb Ghauri

;

taza hai us ki mahak raat ki rani ki tarah
kisi bichhDe hue lamhe ki nishani ki tarah

jitna dekho use thakti nahin aankhen warna
KHatm ho jata hai har husn kahani ki tarah

reg-e-sahra ka ajab rang hawaon ne kiya
naqsh sa khinch gaya dariya ki rawani ki tarah

yun guzarta hai wo katra ke nawah-e-dil se
jaise ye KHak ka KHitta bhi ho pani ki tarah

mujh se kya kuchh na saba kah ke gai hai ai 'zeb'
chand hi lafzon mein paigham-e-zabani ki tarah