tayyun tasalsul hai naqsh-e-badan ka
usi se talluq hai ye jaan-o-tan ka
tasawwuf tabaddul hai aadat-e-bad ka
tarruf natija hai KHulq-e-hasan ka
wahi gul shajar hai wahi bostan hai
wahi aap hai baghban is chaman ka
wo be-kaif-o-kam hai qadim-o-azal se
usi se hai ye naqsh-e-dahr-e-kuhan ka
tawalla samajh ham-zabani se behtar
tashshuq hua ham-dam-o-ham-suKHan ka
ram-o-shauq ki bhi ajaib kashish hai
bura haal hai aashiq-e-KHasta-tan ka
jo sirr-e-KHafi hai wo ain-e-jali hai
khula aaj uqda ye sirr-e-dahan ka
lataif mein muzmar hai taswir-e-wahdat
ye KHalwat mein paida hai lutf anjuman ka
nazar bar-qadam hai tariq-e-tasawwur
ram-o-shauq jada hai sirr-o-elan ka
nihan se ayan hai ayan mein nihan hai
ye jada mila hai safar dar-watan ka
suluk-e-tariqat hai aafaq-o-anfus
ki jalwa hai tanzih mein sim-tan ka
wo be-parda bhi parda-posh-e-nazar hai
hijab aa gaya hai hamein husn-e-zan ka
kabhi shad-o-KHandan kabhi zar-o-nalan
tamasha hai 'saqi' ke diwana-pan ka
Ghazal
Tayyun tasalsul hai naqsh-e-badan ka
Pandit Jawahar Nath Saqi

