اردو हिंदी
Taron se mahtab se aur kahkashan se kya | Shaahi Shayari
taron se mahtab se aur kahkashan se kya

Ghazal

Taron se mahtab se aur kahkashan se kya

Heera Lal Falak Dehlvi

;

taron se mahtab se aur kahkashan se kya
mera watan zamin hai mujhe aasman se kya

TukDe jigar ke hon ki Tapakta ho KHun-e-dil
unwan jo tum nahin to tumhein dastan se kya

jina jo jaanta ho taDap kar tere baghair
is ko teri gali se tere aastan se kya

un ka na samna ho usi mein hai aafiyat
kya jaaniye ki nikle hamari zaban se kya

utrega jab KHumar wahi honge ranj-o-gham
dil ko sukun milega mai-e-arghawan se kya

ai dil hai kis liye tujhe aawargi ka shauq
tu bhi bichhaD gaya hai kisi karwan se kya

gham hai shikast ka na KHushi fath ki 'falak'
mujh ko amal se kaam hai sud-o-ziyan se kya