اردو हिंदी
Taron mein chhup gae ki gulon mein nihan rahe | Shaahi Shayari
taron mein chhup gae ki gulon mein nihan rahe

Ghazal

Taron mein chhup gae ki gulon mein nihan rahe

Sharib Lakhnavi

;

taron mein chhup gae ki gulon mein nihan rahe
meri nazar ne DhunDh liya tum jahan rahe

guzre hue zamane ka kuchh to nishan rahe
gar aashiyan nahin to gham-e-ashiyan rahe

ye aur baat hai ki nazar se nihan rahe
lekin wo sath sath rahe hum jahan rahe

us ko kisi maqam pe mahdud kyun karo
kaun-o-makan bana ke bhi jo la-makan rahe

ek naqsh-e-mustaqil wo zamane mein bin gae
jo be-niyaz-e-KHwahish-e-nam-o-nishan rahe

kyun kar yaqin karen ki jahan mein KHushi bhi hai
hum ko to gham ne gher liya hum jahan rahe

nam-o-nishan ke waste marta hai kyun bashar
jo sahab-e-nishan the kab un ke nishan rahe

kahta hai ye gulon ka tabassum bahut samajh
duniya mein do-ghaDi bhi agar shadman rahe

'shaarib' jamal-e-dost ka parda to rah gaya
achchha hua hijab-e-nazar darmiyan rahe