اردو हिंदी
Tarikiyon mein apni ziya chhoD jaunga | Shaahi Shayari
tarikiyon mein apni ziya chhoD jaunga

Ghazal

Tarikiyon mein apni ziya chhoD jaunga

Guhar Khairabadi

;

tarikiyon mein apni ziya chhoD jaunga
guzrunga main to naqsh-e-wafa chhoD jaunga

duniya ke log sunte rahenge tamam umr
lafzon mein apne dil ki sada chhoD jaunga

apne lahu se phul khila kar hayat ke
har samt KHushbuon ki faza chhoD jaunga

rakhengi yaad husn ki ranaiyan mujhe
wo gulistan mein rang naya chhoD jaunga

har ek qadam banegi jo tahzib ki misal
wo zindagi ki tarz-e-ada chhoD jaunga

sinchega phir chaman mein use mere baad kaun
jis peD ko yahan main hara chhoD jaunga

ye sochta hun jab kabhi hoga mera safar
kya kya main le ke jaunga kya chhoD jaunga

tarke mein kuchh bhi chhoDun na chhoDun yahan magar
bachchon ke haq mein apni dua chhoD jaunga

pahunchega faiz jis se zamane ko ai 'guhar'
ilm-o-hunar ki main wo ghaTa chhoD jaunga