tarikiyon ka hum the hadaf dekhte rahe
sayyare sab hamari taraf dekhte rahe
TukDe hamare dil ke paDe the yahan wahan
tha pattharon se jin ko shaghaf dekhte rahe
barsi thi ek gham ki ghaTa is dayar mein
chehron ka dhul raha tha kalaf dekhte rahe
moti mile na KHwab ki parchhaiyan milin
aankhon ke khol khol sadaf dekhte rahe
bujhti hui si ek shabih zehn mein liye
miTti hui sitaron ki saf dekhte rahe
sapne talash karte rahe zindagi mein hum
ek ret ki nadi mein sadaf dekhte rahe
goya tha ek aalam ka dariya chaDha hua
'shahid' sifat-e-shah-e-najaf dekhte rahe
Ghazal
Tarikiyon ka hum the hadaf dekhte rahe
Shahid Meer