tariki mein nur ka manzar suraj mein shab dekhoge
jis din tum aankhen khologe duniya ko jab dekhoge
dhire dhire har jaanib sannaTa sa chha jaega
so jaengi rafta rafta aawazen sab dekhoge
khambe sare TuT chuke hain chhappar girne wala hai
buniyaadon par jine walo upar tum kab dekhoge
shayad tum bhi mere jaise ho jaoge aankhon se
sahme chehre gung zabanen zard badan jab dekhoge
wo to bazigar hain un ka maqsad khel dikhana hai
tum to farzane ho sahib kab tak kartab dekhoge
pahle to sarsabz rahoge phir pile paD jaoge
jis din tum bhi rang-nagar mein surKH koi lab dekhoge
baiThe baiThe ghar mein yun hi pal pal ghuT ghuT marna hai
ya nikaloge ghar aangan se jine ka Dhab dekhoge
kal tak jo shaffaf the chehre aawazon se KHali the
aaDi-tirchhi surKH lakiren un par bhi ab dekhoge
khambe to ye gaD chuke hain rassi bhi ab tanenge
ye bhi khel hi khulenge in ke bhi kartab dekhoge
Ghazal
Tariki mein nur ka manzar suraj mein shab dekhoge
Ghazanfar