tariki mein dip jalae insan kitna pyara hai
rahen DhunDe manzil pae insan kitna pyara hai
waqt-e-musibat aansu ponchhe hamdardi ki baat kare
TuTe dil ko aas dilae insan kitna pyara hai
mange sau sau tarah muafi chhoTi si ek bhul ki bhi
apni KHataon par sharmae insan kitna pyara hai
dil ki dhaDkan dil mein samoe git ki lai ijad kare
mahfil mahfil saz bajae insan kitna pyara hai
laila-e-KHud-agah ki dhun mein daman phaDe qais bane
sahra sahra KHak uDae insan kitna pyara hai
le ke harim-e-naz us ke shirin shirin naghmon ko
'dauran' ki tauqir baDhae insan kitna pyara hai
Ghazal
Tariki mein dip jalae insan kitna pyara hai
Owais Ahmad Dauran