tare dard ke jhonke ban kar aate hain
hum bhi nind ki surat uDte jate hain
jab andaz bahaaron ke yaad aate hain
hum kaghaz par kya kya phul banate hain
waqt ka patthar bhaari hota jata hai
hum miTTi ki surat dete jate hain
kya zarron ka josh saba ne chhin liya
gulshan mein kyun yaad bagule aate hain
duniya ne har baat mein kya kya rang bhare
hum sada auraq ulaTte jate hain
dil nadan hai shayad rah pe aa jae
tum bhi samjhao hum bhi samjhate hain
tum bhi ulTi ulTi baaten puchhte ho
hum bhi kaisi kaisi qasmen khate hain
baiTh ke roen kis ko fursat hai 'baqi'
bhule-bisre qisse yaad to aate hain
Ghazal
Tare dard ke jhonke ban kar aate hain
Baqi Siddiqui