taq-e-mazi mein jo rakkhe the saja kar chehre
le gai tez hawa gham ki uDa kar chehre
jin ke honTon pe tarab-KHez hansi hoti hai
wo bhi rote hain kitabon mein chhupa kar chehre
karb ki zard tikonon mein kai tirchhe KHutut
kis qadar KHush tha main kaghaz pe bana kar chehre
mu-qalam le ke mere shahr ki diwaron par
kis ne likkha hai tera nam miTa kar chehre
log phirte hain bhare shahr ki tanhai mein
sard jismon ki salibon pe uTha kar chehre
Ghazal
Taq-e-mazi mein jo rakkhe the saja kar chehre
Naseer Ahmad Nasir