taq-e-jaan mein tere hijr ke rog sambhaal diye
us ke baad jo gham aae phir hans ke Tal diye
kab tak aaD banae rakhti apne hathon ko
kab tak jalte tez hawaon mein behaal diye
wahi muqabil bhi tha mera sang-e-rah bhi tha
jis patthar ko main ne apne KHadd-o-KHal diye
zard ruton ki gard ne haal chhupaya tha ghar ka
ek barish ne diwaron ke zaKHm ujal diye
dhat khari thi jazbon ki lekin ujrat se qabl
qismat ki Taksal ne sikke khoTe Dhaal diye
taza rut ke istiqbaal ki KHatir shaKHon ne
peD ke sare mausam-dida-pat uchhaal diye
jin ko paDh kar pahle hansti thi phir roti thi
aaKHir ek din main ne wo KHat aag mein Dal diye
jin mein the mazkur hawale teri chahat ke
'nur' kitab-e-zist se wo auraq nikal diye

Ghazal
Taq-e-jaan mein tere hijr ke rog sambhaal diye
Shahnaz Noor