talluqat-e-wafa mein jo sard ab tak hai
kai mahaz pe garm-e-nabard ab tak hai
agarche shahr ke haalat pur-sukun bhi hain
har ek chehra magar zard zard ab tak hai
bhaDak uThe to zamane ki KHair na-mumkin
wahi jo aag si sine mein sard ab tak hai
tumhaari baat se wo sang-dil pighalta kya
tumhaara dil bhi to mahrum-e-dard ab tak hai
wo ek KHwab ki tabir pa saka na abhi
wo ek KHayal ki sahra-naward ab tak hai
hawa ne kaun se KHwabon se dil lagaya tha
hamari tarah jo aawara-gard ab tak hai

Ghazal
Talluqat-e-wafa mein jo sard ab tak hai
Noman Imam