talluq toD kar us ki gali se
kabhi main juD na paya zindagi se
KHuda ka aadmi ko Dar kahan ab
wo ghabraata hai kewal aadmi se
meri ye tishnagi shayad bujhegi
kisi meri hi jaisi tishnagi se
bahut chubhta hai ye meri ana ko
tumhaara baat karna har kisi se
KHasare ko KHasare se bharunga
nikalunga ujala tirgi se
tumhein ai dosto main jaanta hun
sukun milta hai meri bekali se
hawaon mein kahan ye dam tha 'faisal'
diya mera bujha hai buzdili se
Ghazal
Talluq toD kar uski gali se
Siraj Faisal Khan