talib-e-ishq hai kya salik-e-uryan na hua
qurb mahjur hua wasil-e-jaanan na hua
hain junun josh wahi jazb ka nisyan na hua
qatra dariya jo hua aaina hairan na hua
kya siya-mast hua kaif mein raqsan na hua
jam-e-sar-josh se bhi salik-e-wajdan na hua
wasl-e-mauud se aashob-e-tamanna hai adam
be-tamanna tera aashufta-e-hijran na hua
main jo majzub-e-azal tha na gai mahwiyyat
subh-e-mahshar se mera chaak gareban na hua
did-e-be-chun-o-chigun sair-e-lataef mein jo thi
mahw-e-aina-e-nairngi-e-alwan na hua
wusat-e-mashrab-e-rindan hai tilism-e-hairat
ye kisi tang faza dil ka bayaban na hua
surat-e-haal ne mashhud kiya kaif-e-batun
raaz-e-sar-basta mera girya-e-pinhan na hua
jama kyun farq ho nairang-e-mazahir ke sabab
tera manzur-e-nazar aankhon se pinhan na hua
aankh se aankh laDi chin-e-jabin mahw hui
shauq-e-didar mera jalwa-pasheman na hua
jam-e-sarshaar mein kuchh kaif na aaya hum ko
'saqi'-e-mast jo sar-halqa-e-mastan na hua
Ghazal
Talib-e-ishq hai kya salik-e-uryan na hua
Pandit Jawahar Nath Saqi

