taKHir aa paDi jo badan ke zuhur mein
hum ne KHalaen ghol din bainassutur mein
miTTi ko apni raat mein tahlil kar diya
ek sar-zamin sameT li taron ke nur mein
mumkin hai tark hi kare wo hashr ka KHayal
dil ka sukut phunk ke aaya hun sur mein
ek nuqta-e-ghayab mein Dhalne lage falak
bhaTka hun itni dur bhi tahtush-shuur mein
tajrid-e-jaan ki ek nai mantiq hun main 'riyaz'
poshida ho raha hun KHud apne huzur mein

Ghazal
TaKHir aa paDi jo badan ke zuhur mein
Riyaz Latif