'tabish' hawas-e-lazzat-e-azar kahan tak
rahat se ye gham phir bhi mere yar kahan tak
har roz ek aawaza anal-haq ka lagaen
dekhen to ki hai silsila-e-dar kahan tak
har raste se manzil-e-hasti hai bahut dur
jaega mere sath gham-e-yar kahan tak
han tana-e-aghyar ke nashtar hi se khul jae
ek zaKHm rahega lab-e-guftar kahan tak
hain is ke talluq se aziz ahl-e-jahan bhi
le jaegi aaKHir hawas-e-yar kahan tak
aaina-dar-aina dar-aina tera husn
hairan hon tere talib-e-didar kahan tak
hoti hi nahin subh-e-qayamat bhi numudar
jagenge shab-e-hijr ke bimar kahan tak
phaili hui har samt kaDi dhup hai 'tabish'
jaega koi saya-e-diwar kahan tak

Ghazal
Tabish hawas-e-lazzat-e-azar kahan tak
Tabish Dehlvi