tabiron se band qaba-e-KHwab khule
mujh par mere mustaqbil ke bab khule
jis ke hathon baadban ka zor bandha
usi hua ke naKHun se girdab khule
us ne jab darwaza mujh par band kiya
mujh par us ki mahfil ke aadab khule
rahi hamesha gahrai par meri nazar
bhed samundar ke sab zer-e-ab khule
dil ke siwa wo aur kahin rahta hai agar
koi to darwaza dar-e-mehrab khule
Ghazal
Tabiron se band qaba-e-KHwab khule
Ghulam Murtaza Rahi