ta-sahar ki hai fughan jaan ke ghafil mujh ko
raat bhar aaj pukara hai mera dil mujh ko
dard-o-gham se jo tapan tha wo mila dil mujh ko
is liye dafn kiya hai lab-e-sahil mujh ko
bar-e-husn aap se laila ka uThaya na gaya
na liya qais ne jis ko wo mila dil mujh ko
ghair phir ghair hain aaKHir hain phir apne apne
yaad karta hai tere pas mera dil mujh ko
bar-e-KHatir hi agar hai to inayat kije
aap ko husn mubarak ho mera dil mujh ko
fasl-e-gul aate hi sahra-e-adam ko pahuncha
rokte rah gae aghlal-o-salasil mujh ko
mar gaya ashk jo aankhon se bahe aah ke sath
aa gai nind hawa mein lab-e-sahil mujh ko
kya adawat hai ki jis din se hua hun zaKHmi
dekh jata hai wo rashk-e-mah-e-kaamil mujh ko
shab ko tum soi thi kya su-e-falak munh kar ke
nazar aaya na sahar tak mah-e-kaamil mujh ko
panw tak zulf teri yar baDh aai shayad
aaj bhaari nazar aati hai salasil mujh ko
asar-e-zoaf se hun qatra-e-ashk-e-KHuni
rahm kar de kafan-e-daman-e-qatil mujh ko
Ghazal
Ta-sahar ki hai fughan jaan ke ghafil mujhko
Taashshuq Lakhnavi