ta-dasht-e-adam aah-e-rasa le gai mujh ko
jab KHak hua main to hawa le gai mujh ko
koson mai-e-gulgun ki hawa le gai mujh ko
ye lal pari ghar se uDa le gai mujh ko
muddat se na milti thi kahin rah adam ki
us shoKH ke kuche mein qaza le gai mujh ko
tha zoaf mein sauda kisi sahra-e-junun ka
wahshat mere ghar aa ke bula le gai mujh ko
'jauhar' taraf-e-kucha-e-jaanan jo gaya main
kya jaane kidhar ki ye hawa le gai mujh ko
Ghazal
Ta-dasht-e-adam aah-e-rasa le gai mujhko
Lala Madhav Ram Jauhar