surat-e-ishq badalta nahin tu bhi main bhi
gham ki hiddat se pighalta nahin tu bhi main bhi
ab zamane mein mohabbat hai tamashe ki tarah
is tamashe se bahalta nahin tu bhi main bhi
in sulagti hui sanson ko nahin dekhte log
aur samajhte hain ki jalta nahin tu bhi main bhi
apna nuqsan barabar ka hua aandhi mein
ab kisi shaKH pe phalta nahin tu bhi main bhi
ai samundar teri phaili hui banhon ki qasam
apni maujon se nikalta nahin tu bhi main bhi
Dagmagate hain qadam Dolti hai waqt ki sans
tar-e-hasti pe sambhalta nahin tu bhi main bhi
ab wo ghaalib hai na wo ahl-e-karam hain 'tauqir'
ishq mein bhes badalta nahin tu bhi main bhi
Ghazal
Surat-e-ishq badalta nahin tu bhi main bhi
Tauqeer Taqi