suraj ko nikalna hai so niklega dobara
ab dekhiye kab Dubta hai subh ka tara
maghrib mein jo Dube use mashriq hi nikale
main KHub samajhta hun mashiyyat ka ishaara
paDhta hun jab us ko to sana karta hun rab ki
insan ka chehra hai ki quran ka para
ji haar ke tum par na kar pao nadi bhi
waise to samundar ka bhi hota hai kinara
jannat mili jhuTon ko agar jhuT ke badle
sachchon ko saza mein hai jahannam bhi gawara
ye kaun sa insaf hai ai arsh-nashino
bijli jo tumhaari hai to KHirman hai hamara
mustaqbil-e-insan ne elan kiya hai
aainda se be-taj rahega sar-e-dara
Ghazal
Suraj ko nikalna hai so niklega dobara
Ahmad Nadeem Qasmi