suraj ke sath sath ubhaare gae hain hum
tarikiyon mein phir bhi utare gae hain hum
ras aa saki na hum ko hawa tere shahr ki
yun to qadam qadam pe sanware gae hain hum
kuchh qahqahon ke abr-e-rawan ne diya nikhaar
kuchh gham ki dhup se bhi nikhaare gae hain hum
sahil se rabta hain nahin TuTta kabhi
kaise samundaron mein utare gae hain hum
TuTa na rah-e-shauq mein afsun-e-tirgi
le kar jilau mein chand sitare gae hain hum
jaana muhaal tha teri mahfil ko chhoD kar
pa kar teri nazar ke ishaare gae hain hum
is tera KHak-dan mein koi puchhta nahin
kahne ko aasman se utare gae hain hum
sau bar bar-e-gham ne pareshan kiya hamein
sau bar misl-e-zulf sanware gae hain hum
is silsile mein maut to badnam hai yunhi
is zindagi ke hathon hi mare gae hain hum
gardab-e-gham mein Dub ke ubhre hain barha
kis ne kaha kinare kinare gae hain hum
'yazdani'-e-hazin hamein kuchh bhi KHabar nahin
us aastan pe kis ke sahaare gae hain hum

Ghazal
Suraj ke sath sath ubhaare gae hain hum
Yazdani Jalandhari