sune sune ujDe ujDe se gharon mein le chalo
mujh ko mere roz-o-shab ke manzaron mein le chalo
kuchh to apne pas bhi ho zindagi ke waste
koi to sauda-e-KHam apne saron mein le chalo
na-rasai ka tasawwur kyun uDanon mein rahe
manzilon ki duriyan apne paron mein le chalo
shahr ki ranginiyon mein hain kahan gunjaishen
zat ki viraniyan sab maqbaron mein le chalo
phir tumhaare mabadon ko mil gae mabud kuchh
phir hamare jism murda pattharon mein le chalo
kuchh na kuchh ban jaega naqd-o-nazar ke baad wo
masala kuchh bhi na ho danishwaron mein le chalo
aaj pahli bar mujh se kyun wo haara hai 'hayat'
aaj mujh ko shahr ke bazigaron mein le chalo
Ghazal
Sune sune ujDe ujDe se gharon mein le chalo
Hayat Lakhnavi